Nayaab Lamhe

My Photo
Name:
Location: Dubai, United Arab Emirates

Agar tu ittefaaqan... mil bhi jaaye, Teri furkat ke sadme... kam na honge...

Saturday, March 13, 2021

Silent Scream

Withering like leaves I fell from an old Banyan tree

An overwhelming breeze held me in its arms like I am now for free


Floating in the Sands of Time, coming across twisted paths

Found myself in midst of a million undying wraths


Where is the daylight? I wanted to tear apart the clouds

Sun seemed to have been buried under layers of perplexed shrouds


Pleading for mercy... until when will a tireless tongue beseech 

Digging with bare hands how far a tired soul could reach


Alas! it had to burst out like a bottled ocean breaking infront of a silent shore

When strength breath its last... screaming "can bear it no more"


Jee Chahtaa Hai

Takiye mein mooh chupaakar sone ko jee chahtaa hai

koi apna miljaye ke gale se laga kar Rone ko jee chahtaa hai


Rote Rote khushk hone lage hain mere aansun

koi ek wajah miljaye mujhe... ke ab muskurane ko jee chahtaa hai


Mushaqqat bhari hain zindagi ki Rahein tilmila Uthein hai qadam

Apni aankhon mein Jagah dedo aaj kho Jane ko jee chahtaa hai


Garm mausam ki tapish se jal raha hai mera jahan

Koi humdard bus miljaye ke uski baahon mein doob jane ko jee chahtaa hai


Ye kaise dhoke rafta rafta khaye hain humne

Sadaqat bhari ek adaa pur AAS marjaane ko jee chahtaa hai


Thursday, March 17, 2011

Achanak phir tum mile...

Muddat hui khud ko khokar aaj dhoondne nikle the
Besaakhta legaye qadam wahan jahan tum mile the

Ankhein nami se bojhal hogayeen kismat pur yaqeen nahee ataa
Ke ye wahi zindagi hai jahan mujhe fakat sitam mile the

Aarzooein phir jumbish mein aane lagin dard ko kuch araam ayaa
Wagarna Aaj se pehle ab tak dum ba dum gham mile the


Monday, March 14, 2011

La Mehdood Intezaar

Dil phir ruhaans sa hai tabiyat kuch beqaraar hai
Rooh goya us paar gayee ho mehaz jism is paar hai
Goonj kisi khamosh wadi se utthi ho achanak aisi
Dard se karrata hua koi jaise kahin laachaar hai
Maazi se chale the aur haal talak hi pahunch paaye
Mustaqbil tak pahunch paana AAS ab dushwaar hai
Kaisi Tawakko rakhein ird gird khadi in deewaron se
Zameen ke hur kone mein Gadhi jazbaaton ki mazaar hai
Koi nahee ayega dubara dastak dene darwaze pur humare
Un aankhon ko phir bhi ek laa mehdood sa intezaar hai

Thursday, October 14, 2010

Khud Se Humein Kuch Yun Juda Karna ...

Ho kabhi aisa jo qaza (death) humare dar pe ho
Zindagi ki roshni apni raah-e-aakhar (end of road) pe ho

Khamoshi hur taraf bus ek rooh ki cheekh hii...
Muflisi (helplessness) hur rag (nerve) mein, bahar… ke ,andar pe ho

Dard ko bandish (limit) nahee zabt (tolerance) ki intehaa (end) ho
Ronakein zamana–e -hayaat (period of life) ki jab ab'tar (ruins) pe ho

Manzilein tareek (dard) si raaste bayaabaan (deserted) se
Khauf ki mohar (sign) saamne hur manzar pe ho

Paas aajana humare phir baad fursat na milegi kabhi
Waqt humare anjaam (end)ka bhale kisi bhi pehar pe ho

Saansein apne ikhtetaam (end) ka dum bhar rahe hon jab
Seene se laga lena humein ke ab milna phir mehshar (judgement day) pe ho...

Sunday, September 19, 2010

Jeeye Jaa Rahe the hum.....

Manzilein nahee, koi rasta nahee, gard-o-ghubaar hur taraf
Goya ek Qabarastan ki janib bulaye jaa rahe the hum
Wo talkh nigahein saat rahee khamosh raaston ke beech,
Aankhon mein dard ke baar utaaye jaarahe the hum
Bewafayee ki shaam thi, jafa raks kar rahee thi zameen pur
Aur Begharz wafa se bhare jaam lutaye jaa rahe the hum
Siskiyon ki sarghoshiyan bajne lagin thi hur simt
Beete hue haadson ke naghme gungunaye jaarahe the hum
Tareekiyon ka markaz hur jagah ranjishon ka dasht laga tha
Roshni ke chiraagh andheron mein jalaye jaa rahe the hum
Masoom sa sheher ho wahan bus chahaton ka basar ho
Zindagi ko ek Nayab si tasweer banaye jaa rahe the hum
Ulfat ke dhagon se dard ke paiwan seeye jaarahe the hum
Kainat se humein zindagi mili use jeeye jaa rahe the hum

Sunday, July 25, 2010

Shab Guzri.. Magar Sawera Na Hua

Zindagi Bhar daudte rahe peeche waqt ke magar kabhi ye humara na hua
Mile nahee the kabhi.. acha tha pur ab milkar yun juda hona gawara na hua
Us hadse ki shab ko milkar zakhmon ki dawa to kardi gayee
Dard hota raha Tar-O-Taza magar... woh hadsa phir dubara na hua
Ae machalti hui lehron apni gehrayee ke bare mein kuch to keh jao
Rahon mein mila hur sahil humari zindagi ka kinara na hua
Tamannaon ki shikhrein badhti jaa rahee thi itni tezi se hum kya karte
Ek arse baad phir us masoom dil mein AAS.. apka bhi guzara na hua

Tuesday, February 23, 2010

Raste... Manzil Tak

Kayee ahsasaat aise hote hain, jinko samajhna aur alfaaz mein bayan karna bahut mushkil hota hain. Jaise pani ho, jaise hawa ho na dekhsakte hain na choo sakte hain lekin iska dabaw mehsoos karsakte hain. Spursh na hote hue bhi ek ahsaas.
Kabhi khoobsoorat kabhi hairan kardene wala, aur kabhi pareshaan kardene wala. Shayad upar wale ne dil isiliye diya ke hum mehsoos kar sakein and zehan isiliye diya ke is ahsaas ka jawaab desakein. React kar sakein....
Humein lagta hai ke zindagi ke maqsad tak pahunchne ke liye humein sahi raston ko talash karna chahiye. Aur waqt ek aisi cheez hai jo kuch is tarah se aage badta hai ke woh raste humein khud hi dhoond lete hain. They catch us off hand and at times we do not really know wht to do about it.
Hum phir un raston ke hawale khud ko kardete hain. Kabhi kabhi raste hi itne khoobsoorat hote hain ke age badhne ka dil hi nahee hota. Ye raste hi manzil lagne lagte hain. In mein khojane ka man karta hai.
Lekin... wahan rukein bhi to kyun kar... kab tak...